ye mohabbat ki jawani ka saman hai ki nahin ab mere zer-e-qadam kahkashan hai ki nahin daman-e-rind-e-bala-nosh ko dekh ai saqi parcham-e-khwajgi-e-kaun-o-makan hai ki nahin muskuraate hue guzre the idhar se kuchh log aaj pur-nur guzar-gah-e-zmaan hai ki nahin husn hi husn hai gulzar-e-junun mein raqsan ishq ka aalam-e-sad-rang jawan hai ki nahin rah par aa hi gae aaj bhatakne wale rahbar dekh wo manzil ka nishan hai ki nahin lakh girdab-o-talatum se guzar kar ai dost ab safina mera sahil pe rawan hai ki nahin tazkire apne har ek bazm mein hain ai 'akhtar' aaj mohmal si hadis-e-digran hai ki nahin