ye mulaqat mulaqat nahin hoti hai baat hoti hai magar baat nahin hoti hai baryabi ka bura ho ki ab un ke dar par agle waqton ki mudaraat nahin hoti hai gham to ghanghor ghataon ki tarah uthte hain zabt ka dasht hai barsat nahin hoti hai ye mera tajraba hai husn koi chaal chale bazi-e-ishq kabhi mat nahin hoti hai wasl hai nam ham-ahangi o yak-rangi ka wasl mein koi buri baat nahin hoti hai hijr tanhai hai suraj hai sawa neze par din hi rahta hai yahan raat nahin hoti hai zabt-e-girya kabhi karta hun to farmate hain aaj kya baat hai barsat nahin hoti hai mujhe allah ki qasam sher mein tahsin-e-butan main jo karta hun meri zat nahin hoti hai fikr-e-takhliq-e-sukhan masnad-e-rahat pe hafiz bais-e-kashf-o-karamat nahin hoti hai