ye nadan zehn hai jo sochta hai khala mein kya kahen saut-o-sada hai qalam ne jo bhi kaghaz par likha hai mere afkar ka wo aaina hai ek aisa bhi hai pani ka parinda tah-e-qulzum pe jis ka ghonsla hai farishton ki padho to hast rekha dawam un ke muqaddar mein likha hai utarenge kabhi tauq-e-ghulami hawaon ka fazaon ne kaha hai zamin ko ab nahin pahli si harakat qamar bhi dur hota ja raha hai wahi nazil hui hai aasman se ki har bachcha jahan ka dewta hai tamam asrar kholega wo apne gagan dharti ki jaanib chal pada hai rawabit is ke be-mani hain sare zaman-e-haal se jo kat gaya hai muqayyad hi raha hun ghar mein apne yugon se silsila ye chal raha hai jahan ko tang-bini ka ye tohfa falak ki wusaton se kya mila hai 'figar' ek paikar-e-hilm-o-tahammul bana kar sab ke ghar mein rakh diya hai