ye nanha sa sipahi intihai shauq se izn-e-shahadat mangta hai

ye nanha sa sipahi intihai shauq se izn-e-shahadat mangta hai
nahin ibtal-e-baatil ke liye shamshir-bazi ki ijazat mangta hai

use hai din ko din kahna use hai shab ko shab kahna kisi bhi marhale par
kabhi wo yar-e-ghaar-e-mustafa siddiq-e-akbar si sadaqat mangta hai

use to haq ko haq baatil ko baatil kar dikhane ki tadap bhi hai lagan bhi
umar faruq-e-azam ke zamane ki khilafat ki adalat mangta hai

kalid-e-ilm-o-hikmat se kalid-e-zohd-o-taat se haya-dari ki surat
kabhi usman-bin-affan si fahm-o-farasat ki siyasat mangta hai

kahin to jaan-fishani ki kahin to jaan-nisari ki saadat ki talab mein
kabhi sher-e-khuda si haidar-e-karrar si ran mein shujaat mangta hai

zara si jaan hai us ki magar arman hai us ke shahadat ki sifat ke
kabhi hamza kabhi khalid si maidan-e-wafa mein istaqamat mangta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close