ye nashist-e-gham hai isko koi rit to nibhao

ye nashist-e-gham hai is ki koi rit to nibhao
main ghazal suna raha hun mujhe chhod kar na jao

shab-e-tar ka fasana kabhi mukhtasar bhi hoga
koi shama to jalao koi jam to uthao

ye ghurur-e-tegh-e-qatil kabhi sar-nigun bhi hoga
sar-e-bazm chot kha kar sar-e-rah muskurao

tumhein sar-buland pa kar chali jae sar jhuka kar
kabhi marg-e-na-gahan se zara yun bhi pesh aao

zara dekho gardanon par sar-e-sham jhuk chale hain
ye kanwal hain kitne pyare inhen dar par sajao

use khinch lo palang se wo jo so ke thak gaya hai
ye jo thak ke so gaya hai use pyar se jagao

raha sar hamesha tane sahe hans ke taziyane
wo gurez-pa hua kyun koi 'soz' ko manao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close