ye nikhaton ki narm-rawi ye hawa ye raat yaad aa rahe hain ishq ko tute talluqat mayusiyon ki god mein dam todta hai ishq ab bhi koi bana le to bigdi nahin hai baat kuchh aur bhi to ho in ishaaraat ke siwa ye sab to ai nigah-e-karam baat baat baat ek umr kat gai hai tere intizar mein aise bhi hain ki kat na saki jin se ek raat hum ahl-e-intizar ke aahat pe kan the thandi hawa thi gham tha tera dhal chali thi raat yun to bachi bachi si uthi wo nigah-e-naz duniya-e-dil mein ho hi gai koi wardat jin ka suragh pa na saki gham ki ruh bhi nadan hue hain ishq mein aise bhi sanehat har sai o har amal mein mohabbat ka hath hai tamir-e-zindagi ke samajh kuchh muharrikat us ja teri nigah mujhe le gai jahan leti ho jaise sans ye be-jaan kaenat kya nind aae us ko jise jagna na aae jo din ko din kare wo kare raat ko bhi raat dariya ke madd-o-jazr bhi pani ke khel hain hasti hi ke karishme hain kya maut kya hayat ahl-e-raza mein shan-e-baghawat bhi ho zara itni bhi zindagi na ho paband-e-rasmiyat hum ahl-e-gham ne rang-e-zamana badal diya koshish to ki sabhi ne magar ban pade ki baat paida kare zamin nai aasman naya itna to le koi asar-e-daur-kaenat shair hun gahri nind mein hain jo haqiqaten chaunka rahe hain un ko bhi mere tawahhumat mujh ko to gham ne fursat-e-gham bhi na di 'firaq' de fursat-e-hayat na jaise gham-e-hayat