ye paimana sharab-e-tez se bharne nahin deti

ye paimana sharab-e-tez se bharne nahin deti
koi shai zindagi mein hai wahi marne nahin deti

ajab kuchh mutmain rakhti hai hum ko bekali dil ki
hawa-e-hijr ki yurish se bhi darne nahin deti

hawa-e-barshgal aakhir khush aati hai hamein lekin
jo hum ne kaam karna hai wahi karne nahin deti

bhadakti hai junun ki aag agar koh-o-bayaban mein
koi tohmat hawa-e-shahr pe dharne nahin deti

liye jati hai nakhl-e-arzu tak zindagi 'khalid'
magar daman ata-e-nakhl se bharne nahin deti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close