ye sabza aur ye aab-e-rawan aur abr ye gahra diwana nahin ki ab ghar mein rahun main chhod kar sahra andheri raat mein majnun ko jangal bich kya dar hai papiha ko kala kyun mil ke de hain har ghadi pahra gaya tha raat jhad badli mein zalim kis taraf kun tu tadap sin dil mera bijli ki jun ab lag nahin thahra wo kakul is tarah ke hain bala kale ki jo dekhe to mar ja nag us ka aab ho ja khauf sin zahra esi kahani bikat hai ishq kafir ki jo dekhe to rowen nuh falak aur chashm ho jaan un ki nau nahra rawan nahin taba jis ki sher-e-tar ki tarz pane mein nahin hota hai us kun 'abru' ke harf sin bahra