ye sare phul ye patthar usi se milte hain to ai aziz hum aksar usi se milte hain khuda gawah ki un mein wahi halakat hai ye tegh-o-tir ye khanjar usi se milte hain wo ek bar nahin hai hazar bar hai wo so hum usi se bichhad kar usi se milte hain bichha hua hai wo goya bisat ki surat ye sab safed-o-siyah ghar usi se milte hain ye dhup chhanw ye aab-e-rawan ye abr ye phul ye aasman ye kabutar usi se milte hain ye khas saz-e-azal se wo dajla-e-ahang ye nil-o-zamzam-o-kausar usi se milte hain ye motiya ye chameli ye mogra ye gulab ye sare gahne ye zewar usi se milte hain aqiq gauhar-o-almas nilam-o-yaqut ye sab nagine ye kankar usi se milte hain