ye sham ka badhta hua saya hai ki main hun ta-hadd-e-nazar aankh mein sahra hai ki main hun aakhir tujhe ye faisla karna hi padega tere liye behtar teri duniya hai ki main hun tasdiq jo tu ne mere hone ki abhi ki ye dekh ke main ne bhi ye socha hai ki main hun jhilmil kabhi ehsas mein bikhri to ye socha mahtab kisi jhil mein utra hai ki main hun aise hi tazabzub mein pada soch raha hun baadal hi bahut tut ke barsa hai ki main hun manzar jo ye dekha hai to dil kanp utha hai ye shakh se tuta hua patta hai ki main hun un aankhon mein kya jaaniye kya baat hai 'ahsan' dekha jo kisi ne yahi samjha hai ki main hun