ye sitam ki mahfil-e-naz hai 'kalim' is ko aur sajae ja wo dikhaen raqs-e-sitamgari tu ghazal ka saz bajae ja jo akad ke shan se jae hai pyar se ye batae ja ki bulandiyon ki hai aarzu tu dilon mein pahle samae ja wo jo zakhm den so qubul hai tere waste wahi phul hai yahi ahl-e-dil ka usul hai wo rulae jaen tu gae ja tera sidha sa wo bayan hai teri tuti-phuti zaban hai tere pas hain yahi thekre tu mahal inhin se banae ja wo jafa-shiar o sitam-ada tu sukhan-taraaz o ghazal-sara wo tamam kante ugaenge tu tamam phul khilae ja koi lakh zohra-jabin hai jise chahen hum wo hasin hai 'kalim' us sarapa ghurur ko zara aaina to dikhae ja