ye sitare mujhe diwar nahin hone ke

ye sitare mujhe diwar nahin hone ke
khwab se hum tere bedar nahin hone ke

main ne palkon ko bichhaya hai tere qadmon mein
raste ab tujhe dushwar nahin hone ke

chahe tu jam-e-baqa dene ka wada kar le
ai masiha tere bimar nahin hone ke

dard-e-kaunain se labrez hon jin ke daman
wo mere gham ke kharidar nahin hone ke

ek hi int pe hum ne jo kiya hai takiya
hum kabhi sahab-e-diwar nahin hone ke

chae ki pyali mein tufan uthane walo
ye tamashe sar-e-bazar nahin hone ke

jap kar le tu mohabbat ke hazaron lekin
tere dushman tere dildar nahin hone ke

jin ke sinon mein gadi kufr ki mekhen hun 'sahar'
wo kabhi din ke wafadar nahin hone ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close