ye sochta hun ki KHud aarif-e-hayat bhi hai

ye sochta hun ki khud aarif-e-hayat bhi hai
bashar jo mahram-e-asrar-e-kaenat bhi hai

nafas nafas mein rahe kyon na ek jahan-e-sifat
meri nigah mein tanwir-e-husn-e-zat bhi hai

dilon ko mil nahin sakti thi ishrat-e-abadi
hazar shukr mohabbat mein gham ki raat bhi hai

wo ek khayal ki jis ne gham-e-hayat diya
wahi khayal ilaj-e-gham-e-hayat bhi hai

jo sirr-e-ishq bhi hai raaz-e-husn-e-jaanan bhi
yaqin karo mere dil mein ek aisi baat bhi hai

ye har gunah pe jo ehsas hai nadamat ka
mujhe to 'kaif' yahi hila-e-najat bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close