ye subh-o-sham meri hai na saz-o-raKHt mera

ye subh-o-sham meri hai na saz-o-rakht mera
hai koi aur jo karta hai bandobast mera

dimagh-e-sair-e-nafas soz-o-saz-e-ranj-o-nishat
miyan-e-bim-o-raja hai ye bud-o-hast mera

mujhe hai zarra-e-khaki bhi matla-e-gardun
buland-bin hai khayal-e-buland-o-past mera

mere fasane mein yazdan bhi ahrman bhi magar
wo dhundhta raha unwan-e-sarguzasht mera

ye ladkhadate sitare ye ju-e-mast-e-khiram
bikhar raha hai khayal-e-junun-parast mera

mere nadim-e-dil-o-jaan pe khusrawi taslim
shahi asa-e-dil-ara ki taj-o-takht mera

falak-numa tha jamal-e-ghazal ram-khurda
usi ke sath gaya aasman-e-bakht mera

na jaane kyun use sach nagawar guzra hai
ki dil-nawaz tha lahja na tha karakht mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close