ye talluq ke taqazon ko bhi kha jata hai shak mohabbat ki kitabon ko bhi kha jata hai main to ek mans ka tukda hun meri kya auqat gham ka kida to pahadon ko bhi kha jata hai raat karti hai khamoshi se hifazat din ki din magar chand sitaron ko bhi kha jata hai ye to dariya pe hai pani se bana kar rakkhe warna sailab kinaron ko bhi kha jata hai mere kamre mein bhara rahta hai dastak ka ghubar ye wo ghun hai jo kiwadon ko bhi kha jata hai tujh mein parwaz ki quwwat hai magar dhyan rahe ek ahankar udanon ko bhi kha jata hai do ghadi rukna zaruri hai 'musawwir' warna rasta panw ke chhaalon ko bhi kha jata hai