ye tark-e-rabt to farda pe Tal rakhna tha

ye tark-e-rabt to farda pe tal rakhna tha
kisi bhi haal mein rishta bahaal rakhna tha

dilon ki talkhiyan sadkon pe khinch laya tu
purane rabt ka kuchh to khayal rakhna tha

ye us ki soch hai apni wafa kare na kare
tumhein to apna kaleja nikal rakhna tha

yun guftugu ka koi silsila badhane ko
hamein jawab mein phir se sawal rakhna tha

mere khayal ki jumbish bhi bhanpne wale
tumhaara nam to hum ko ghazal rakhna tha

main utha aur tere pas koi baith gaya
meri ye bhul thi mujh ko rumal rakhna tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close