ye tere lams ka ehsas jawan-tar ho jae ye tere qurb mein har sans jawan-tar ho jae chah ek der se ek rah taka karti hai aao pahle ki wahan ghas jawan-tar ho jae hain kai chehre guzarte hue rah-e-dil se dekhiye kaun sa almas jawan-tar ho jae rasm-e-duniya ke salasil mein giraftari hai mat thaharna ki kahin phans jawan-tar ho jae bazm-e-ulfat ki giraftari se kaise bach paen kis ko malum ki kab aas jawan-tar ho jae hum sanjoe hue rakkhe hain teri yaadon ko waqt aae ki jo hai pas jawan-tar ho jae us ki manzil ka pata kis ko mila hai ab tak han wahi bedil-e-barlas jawan-tar ho jae