ye teri chah bhi kya teri aarzu bhi kya hamare jism mein ye daudta lahu bhi kya hai jis ke dhyan mein har lamha khwab ka aalam mile kahin to karen us se guftugu bhi kya tere khayal ki khushbu tere jamal ka rang hamare dasht mein lekin ye rang-o-bu bhi kya ye tapti ret ye pyasi zamin yahan logo kisi ke pyar se mahki hui numu bhi kya hazar koh-o-bayaban kiye hain tai lekin hue hum aabla-payan lahu lahu bhi kya kisi ki yaad mein kat jae zindagi sari ek aarzu to hai lekin ye aarzu bhi kya