ye to nahin ki baadiya-paima na aaega ai dasht-e-arzu koi hum sa na aaega chalna nasib-e-zist hai yun hi chale chalo is raste mein shahr-e-tamanna na aaega rah-e-wafa mein qatra-e-shabnam bhi hai bahut jis se bujhegi pyas wo dariya na aaega khud ho sake to apne andhere ujal lo ab koi sahab-e-yad-e-baiza na aaega ai ahl-e-dil khamosh ki ye ja-e-sabr hai dukh to yunhi rahenge masiha na aaega gahe wufur-e-shauq to gahe hujum-e-yas sab kuchh to aaega hamein jina na aaega baithe rahen 'sahar' yunhi diwar o dar liye apna jise kahen koi aisa na aaega