ye to nahin ki hum pe sitam hi kabhi na the itna zarur tha ki wo naguftani na the ai chashm-e-iltifat ye kya ho gaya tujhe teri nazar mein hum to kabhi ajnabi na the phirte hain aaftab-zada kaenat mein hum par kisi ki zulf ke ehsan kabhi na the pamal kar diya jo falak ne to kya kahen hum to kisi kamal ke bhi muddai na the kya jurm tha ye aaj bhi hum par nahin khula ye ilm hai ki ahl-e-junun kushtani na the har lamha tere ishq mein umr-e-abad bana jo din bhi zindagi ke mile aarzi na the murjha ke bhi gai na mahak jism-e-naz ki ye motiye ke phul koi kaghzi na the yaran-e-shahr ishq mein be-abru hue hum par to mehrban wo kabhi the kabhi na the iqlim-e-ashiqi ko diya din-e-shairi hum sahib-e-kitab the garche nabi na the hum jin ki nazr karte jawahar kalam ke 'tahir' hamare shahar mein wo jauhari na the