ye tum ne panw kya rakkha hua tha zamin ne hausla rakkha hua tha parindon se hamari dosti thi shajar se wasta rakkha hua tha tabhi hum ji rahe the khush-dili se ki tum ne rabta rakkha hua tha ba-zahir lag rahi thi int lekin sadak par hadisa rakkha hua tha kisi ne ghar bade rakkhe hue the kisi ne dil bada rakkha hua tha teri nisbat se sab kuchh mil raha tha wagarna mujh mein kya rakkha hua tha hawa-e-akhir-e-shab ne diyon se suluk-e-narawa rakkha hua tha