ye zakhm-ha-e-gham-e-mohabbat ye dagh-ha-e-gham-e-zamana inhin charaghon ke dam se raushan raha hai dil ka gharib-khana wo fitne jag utthe aankh milte wo zalzale le rahe hain karwat zara tasawwur mein aa gaya tha khayal-e-tamir-e-ashiyana kabhi shikayat ki bewafa hun kabhi khafa arz-e-muddaa par mere satane ko mil hi jata hai aap ko kuchh na kuchh bahana inhin pe hai lutf-e-barq-o-baran karam unhin par hai baghban ka mere nasheman ke chaar tinke hain markaz-e-gardish-e-zamana ye kohna-sali mein 'badr' tum ko ghazal-sarai ki khub sujhi na ab wo rangini-e-takhayyul na ab wo jazbaat-e-shairana