ye zaman-o-makan ka sitam bhi naya

ye zaman-o-makan ka sitam bhi naya
tera gham bhi naya, mera gham bhi naya

shokhi-e-husn shahron mein yun al-aman
sath mausam ke badlen sanam bhi naya

maslahat waqt ki bhej deti hai kyun
har masarrat ke ham-rah ram bhi naya

kaun lafzon ko deta hai mani nae
aur mere sher ko pech-o-kham bhi naya

bad-gumani ne tabdil mehwar kiye
kaba us ka to mera sanam bhi naya

aafrin aafrin dushman-e-jaan mere
teri ijad hai ye sitam bhi naya

dawar-e-hashr aajiz hun main, tu nahin
lauh de ab nai aur qalam bhi naya

mulk-dar-mulk bhatke, sukun kab mila
chahiye dil ko shahr-e-adam bhi naya

istilah-e-jihad aaj badli hai yun
karbala hai nai aur alam bhi naya

lamhe lamhe ki tahqiq o ijad se
mil gaya nasl-e-nau ko shikam bhi naya

har taraf koi jannat hai ab dahr mein
aur hai baghban-e-iram bhi naya

mithi baaten, kabhi talkh lahje ke tir
dil pe har din hai un ka karam bhi naya

ruh-e-'jamshed' nadim hai is ahd mein
ab hai har hath mein jam-e-jam bhi naya

hashr lamhe mein, pal mein sukut-e-azal
aah! ye waqt ka zer-o-bam bhi naya

shakhsiyyat ek hai phir bhi pahlu hazar
us ki baaton mein hota hai kham bhi naya

laj 'khalid' ki rakh le khudaya zara!
tujh se bandhe ye har din bharam bhi naya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close