ye zindagi jo guzarti hai imtihan ki tarah hamein aziz hai us yar-e-mehrban ki tarah main us ko bhulna chahun to bhul jaun magar wo mere sath hi rahta hai meri jaan ki tarah sajaana chah rahe hain magar sajaen kya hamara shahr hai lauti hui dukan ki tarah zara samajh to sahi ahd-e-na-sipas hamein ki tere sath hain hum yaad-e-raftagan ki tarah khuda-gawah ki is ahd mein bhi jita hun jo ki sabaat hai paiman-e-dostan ki tarah