yun ayan tujh ko dekhte hain hum ki nihan tujh ko dekhte hain hum nahin wa-did ma-siwa darkar be-nishan tujh ko dekhte hain hum ghair ki wan nazar nahin jati ab jahan tujh ko dekhte hain hum didani kuchh nahin zamane mein jawedan tujh ko dekhte hain jaan dene pe kyun na hun raazi jaan-sitan tujh ko dekhte hain hum yun karen hum ko paemal adu aasman tujh ko dekhte hain hum yun wo gul-gasht ko chale aaen gulistan tujh ko dekhte hain hum aaj apna kaha suna ho muaf na-gahan tujh ko dekhte hain hum aarzu go ki ek harf hai to dastan tujh ko dekhte hain hum na karen ab kalim se bhi kalam ham-zaban tujh ko dekhte hain hum hum aur aghyar se gila tera bad-guman tujh ko dekhte hain hum aur karna hai charkh ko dushman mehrban tujh ko dekhte hain hum us ka aana yaqin hai kya 'salik' nigaran tujh ko dekhte hain hum