yun bhi baqi hain abhi jine ke aasar mere bistar-e-marg se utthe hain kai yar mere mauj-e-idrak se suraj ki shuaen phutin to nazar aae kuchh an-dekhe se kirdar mere sina-e-shab mein machalta hai udasi ka badan ek taswir mein dikhte hain ye aazar mere khwab bazar mein laya hun tijarat ke liye soch kar karna zara sauda kharidar mere har nazare mein chhupa baitha hai man ka joban kis tarah khud ko sambhaalega ai hushiyar mere apni aankhon mein teri pyas liye phirta hun ek nazar meri taraf dekh ai dil-dar mere mujh ko sahra mein zara khak udani hai abhi is liye der se aaenge parastar mere pahle mushkil se samundar mein safina utra aur phir chhut gai hath se patwar mere main ne lafzon se buna hai wo zamana yaro ghaur karne pe nazar aaenge ashaar mere