yun bhi koi apna khasara karta hai apni raza se bazi haara karta hai dur chala aaun to ye mahsus karun shayad koi mujhe pukara karta hai kabhi dara karta tha ye bhi duniya se ab to dil be-khauf guzara karta hai jo phulon ki khushbu ka shaidai hai wo hi suna bagh hamara karta hai chand sitaron ko kya is ka ilm bhi hai koi un par aankhen wara karta hai pahle sarkash dariya khub daraata hai baad mein mujh ko par utara karta hai boya karta hai wo bij zaminon mein aur phir un mein zahr utara karta hai