yun bhi nibah humne kiya zindagi ke sath

yun bhi nibah hum ne kiya zindagi ke sath
ek ajnabi ho jaise kisi ajnabi ke sath

ab ke bahaar aai to is dilkashi ke sath
kante bhi muskurae gulon ki hansi ke sath

har gham qubul hum ne kiya hai khushi ke sath
wabasta yun hue hain teri barhami ke sath

dil ko jala ke garm kiya aise bazm ko
jaise koi charagh jale raushni ke sath

tajdid aao phir karen ahd-e-wafa ki aaj
aao qadam mila ke chalen dosti ke sath

itni to hai hamein bhi tawaqqo suluk ki
ek aadmi jo karta hai ek aadmi ke sath

meri nazar bhi jati hai kuchh surkhiyon ki samt
aata hai jab bhi nam kisi ka kisi ke sath

sunte hain mai-kashon mein badi barhami si hai
saqi pila raha hai magar be-rukhi ke sath

koi shikan jabin-e-sakhawat pe aa na jae
daman ko mere dekh na dariya-dili ke sath

nala-kunan hain lamhe qayam-o-sujud ke
'paikar' namaz padh na sake aagahi ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close