yun chup hai shahr jaise ki kuchh bhi hua na ho shayad ab is ke baad koi hadisa na ho kanpa hai barg barg sa jo be-sabab abhi ye jism aandhiyon ka koi rasta na ho main thak chuka hun dasht-e-masafat ki dhup mein koi sarab rah mari dekhta na ho tughyan-e-bewafai mein duba rahun main kash mere nasib mein tujhe ab dekhna na ho ubhri hai khushk patton mein ek chikh dur tak be-rahm koi panw unhen raundta na ho sham-e-taraf jalane se pahle hi dekh lo ye dasht-e-na-muradi-e-dil ka diya na ho jo shakhs kal mila tha 'musawwir' ba-tarz-e-khas us ki hi shakl ka wo koi dusra na ho