yun dekhne mein to bas khak-e-mukhtasar hun main mujhe kured kabhi khud mein bahr-o-bar hun main azal se ta-ba-abad phaili hain jaden meri kabhi na aai khizan jis pe wo shajar hun main hai baad-e-khuld-badar ek azab-e-dar-badri jise talash hai manzil ki wo khizar hun main kabhi nigahon mein hota hai aalam-e-baala kabhi wajud se hi apne be-khabar hun main hai zat meri kabhi to sabhi dukhon ka ilaj kabhi lage hai ki tiryaq-e-be-asar hun main mere wajud pe hai munhasir teri tadad agarche teri nazar mein bas ek sifar hun main samajh ke harf-e-mukarrar jo lauh-e-hasti par zamana garche hai munkir mera magar hun main nahin hai bazm-e-khirad mein jo meri qadr to kya nigah-e-ahl-e-junun mein to mo'atabar hun main meri zaban-e-sadaqat ka jurm hai 'khawar' zamana mujh ko samajhta hai khira-sar hun main