yun elaj-e-dil bimar kiya jaega sharbat-e-did se sarshaar kiya jaega hasrat-e-did mein binai ganwa baithe jo us se kaise tera didar kiya jaega so raha hun main zamane se tera khwab liye nind se kab mujhe bedar kiya jaega tut jaega bharam pariyon ki shahzadi ka jab tere husn ko shahkar kiya jaega khud-kushi ki khabar akhbar ki surkhi hogi qatl mujh ko pas-e-diwar kiya jaega main sadaqat hun mujhe maut nahin aaegi waise maslub kai bar kiya jaega in charaghon ke tabassum mein lahu hai mera kab hawaon ko khabar-dar kiya jaega dil ke jazbaat jawan aur bhi ho jaenge meri rahon ko jo dushwar kiya jaega honge sharminda manadir ke kalas bhi 'afzal' kisi masjid ko jo mismar kiya jaega