yun ghair kuchh kahen to bala ko buri lage tu kuchh na kah ki hum ghoraba ko buri lage tangi kare na hausla apna kahin bas ab itni jafa na kar ki wafa ko buri lage tujh bin ye zist apni hamein yun hai jis tarah qaid-e-hayat ahl-e-fana ko buri lage hun khak tere kuche ki hum aur apni gard teri gali se aah saba ko buri lage hum to sahenge wo bhi pa lazim nahin tujhe is naz ki jafa jo ada ko buri lage hai be-hayai had se jo garmi zyaada ho shokhi bahut to mard-o-nisa ko buri lage chun aaina dil apna kudurat se saf rakh gard-e-malal ahl-e-safa ko buri lage har dam jawab saf murawwat se hai baid wo baat tu na kar ki haya ko buri lage us but ki bandagi se na aazad ho 'hasan' ye baat bhi kahin na khuda ko buri lage