yun hi galiyon mein muqaddar dar-ba-dar mera bhi hai kyun nahin sunta meri tu kuchh agar mera bhi hai qatilon ko ab saza ho ya na ho lekin kisi hashiye par ek bayan-e-mukhtasar mera bhi hai main bhi jujha hun hawa se us kabutar ki tarah dekh wo aandhi mein udta ek par mera bhi hai panw tere raste tere safar tera magar kyun pasine mein badan phir tar-ba-tar mera bhi hai dard ki wadi mein aahon ka mohalla hai jahan bas wahin pahli sadak par ek ghar mera bhi hai yun na ho main baith jaun teri paichal ke baghair dhup mein sahra ki uktaya safar mera bhi hai kaisa pagal-pan ki us ke shahr mein deni hai jaan ab kahan hun main akela ham-safar mera bhi hai ek uchatti si nazar khali mohabbat ki nazar aasman ek chahiye mujh ko ki sar mera bhi hai sath honge hum to sach mein phul khilte jaenge aap ka hi bas nahin tanha safar mera bhi hai khud se bhi milta nahin main tujh gale milne ke baad sath rakhne mein teri khushbu hunar mera bhi hai jab bhi kuchh main ne kaha kyun aap tak pahuncha nahin aap ka qasid yaqinan nama-bar mera bhi hai