yun hi hai nur wahdat ka dil-e-insan mein aa jaana ki jaise aankh ke til mein jahan-bhar ka sama jaana na lete nam bhi wo zulm ka bhule se duniya mein agar itna samajh lete ki hai pesh-e-khuda jaana ye fitrat husn ki hai aur wo tinat mohabbat ki jise tum ne jafa samjha use hum ne wafa jaana bayan kar dena haal-e-zar hum sahra-nashinon ka agar kuche mein is zalim ke o baad-e-saba jaana mile fursat agar tum ko to baad marg dam-bhar ko bara-e-fatiha bekas ki turbat par bhi aa jaana na samjhi tum ne kuchh hasti hamari ishq mein lekin tumhein apne se bhi hum ne siwa samjha siwa jaana haqiqat mein wahi manzil-shanas-e-rah-e-irfan hai ki jis ne apni har ek sans ko bang-e-dara jaana samajhta koi jite-ji to han ek baat thi 'shoala' mere marne pe duniya ne mujhe jaana to kya jaana