yun lage dard ki is dil se shanasai hai mausam-e-gham ki tabhi to ye lahar aai hai tod kar rishta yun ilzam lagane wale bewafa main hun agar tu bhi to harjai hai chand nikla nahin tu bhi nahin dikhta ab to raat hai main hun andhera hai ye tanhai hai raaz tere jo chhupaun to ye dam ghutta hai baat kah dun jo zamane se to ruswai hai jaan le kar wo gaya phir bhi 'sachin' zinda hun baat mamuli nahin us ki masihai hai