yun lagta hai jaise hum dariya ke rukh par rahte hain us ki andhi lahron ke qatil dhaare par bahte hain sadiyon ki tarikh yahan qirtas-e-hawa par likkhi hai qarnon ke afsane hum se koh-o-bayaban kahte hain waqt se pahle bachchon ne chehron pe budhapa odh liya titli ban kar udne wale soch mein dube rahte hain jab se andhi zulmat ne suraj par shab-khun mara hai sab farzane apna apna chehra dhundte rahte hain 'farigh' kaise daur mein ye tarikh hamein le aai hai apne dukh bhi sahte hain tarikh ke dukh bhi sahte hain