yun meri taba se hote hain maani paida jaise sawan ki ghataon se ho pani paida kya ghazab hai nigah-e-mast-e-mis-e-baada-farosh shaikh fani mein hua rang-e-jawani paida ye jawani hai ki pata hai junun jis se zuhur ye na samjho ki junun se hai jawani paida be-khudi mein to ye jhagde nahin rahte ai hosh tu ne kar rakkha hai ek aalam-e-fani paida koi mauqa nikal aae ki bas aankhen mil jaen rahen phir aap hi kar legi jawani paida har talluq mera sarmaya hai ek nowel ka meri har raat se hai ek kahani paida jang hai jurm mohabbat hai khilaf-e-tahzib ho chuka walwala-e-ahd-e-jawani paida kho gai hind ki firdaus-nishani 'akbar' kash ho jae koi 'milton'-e-sani paida