yun nahin wo nazar nahin aata hum ko didar kar nahin aata waqt achchha zarur aata hai par kabhi waqt par nahin aata sirf rona hi mujh ko aata hai aur koi hunar nahin aata jo bhi jata hai us ke kuche mein phir wo bar-e-digar nahin aata us ka jalwa bhi ek tamasha hai nazar aata hai par nahin aata us ne jate hue kaha 'sahir'! waqt phir laut kar nahin aata