yun nazm-e-jahan darham-o-barham na hua tha aisa bhi tere husn ka aalam na hua tha phir chhed diya wusat-e-mahshar ki faza ne sauda tere wahshi ka abhi kam na hua tha ya ishrat-e-do-roza tha ya hasrat-e-diroz wo lamha-e-hasti jo abhi gham na hua tha sad haif wo gul ho kaf-e-gul-chin mein jo ab tak aazurda-e-awezish-e-shabnam na hua tha qatil hi mera kyun ise kahta hai zamana mana wo sharik-e-saf-e-matam na hua tha raaz aaj mere dam se hua raaz-e-mohabbat kuchh raaz na tha jab koi mahram na hua tha pate hi khajil rahm ka dariya umad aaya parda meri aankhon ka abhi nam na hua tha ruswa na kar is soz ko ai sham-e-lab-e-gor jo waqif-e-dil-sozi-e-hamdam na hua tha ghar khair se taqdir ne virana banaya saman-e-junun mujh se faraham na hua tha ek kufr sarapa ne kiya hashr ka qail main mo'taqid-e-hashr-e-mujassam na hua tha har dil mein nai shan-e-tajalli hai ki 'fani' nashtar hai wo andaz jo marham na hua tha