yun qaid hum hue ki hawa ko taras gae apne hi kan apni sada ko taras gae the kya ajib log ki jine ke shauq mein aab-e-hayat pi ke hawa ko taras gae kuchh roz ke liye jo kiya hum ne tark shahr bashindagan-e-shahr jafa ko taras gae murda adab ko di hai nai zindagi magar bimar khud pade to dawa ko taras gae khali jo apna jism lahu se hua 'qamar' kitne hi hath rang-e-hina ko taras gae