yun sukunat ki talabgar hui jati hai zindagi saya-e-diwar hui jati hai har mulaqat pe kuchh aur bahakti nazren kya teri zat pur-asrar hui jati hai subh kahti hai mere sath chalo aage badho mat kaho zist giran-bar hui jati hai yun samai hai teri sans meri sanson mein har-nafas garmi-e-afkar hui jati hai dagmaga kar hi meri zist sanbhalti hai zara kaun kahta hai ki be kar hui jati hai ruh to jism se rishte ko nibhane ke liye maut se barsar-e-paikar hui jati hai justuju us ki agar koi khata hai 'adil' ye khata mujh se lagatar hui jati hai