yun teri rahguzar se diwana-war guzre kandhe pe apne rakh ke apna mazar guzre baithe hain raste mein dil ka khandar saja kar shayad isi taraf se ek din bahaar guzre dar-o-rasan se dil tak sab raste adhure jo ek bar guzre wo bar-bar guzre bahti hui ye nadiya ghulte hue kinare koi to par utre koi to par guzre masjid ke zer-e-saya baithe to thak-thaka kar bola har ek minara tujh se hazar guzre qurban is nazar pe mariyam ki sadgi bhi sae se jis nazar ke sau kirdgar guzre tu ne bhi hum ko dekha hum ne bhi tujh ko dekha tu dil hi haar guzra hum jaan haar guzre