yun to hanste hue ladkon ko bhi gham hota hai kachchi umron mein magar tajraba kam hota hai cigareten chae dhuan raat gae tak bahsen aur koi phul sa aanchal kahin nam hota hai is tarah roz hum ek khat use likh dete hain ki na kaghaz na siyahi na qalam hota hai ek ek lafz tumhaara tumhein malum nahin waqt ke khurdure kaghaz par raqam hota hai waqt har zulm tumhaara tumhein lauta dega waqt ke pas kahan rahm-o-karam hota hai fasla izzat o ruswai mein 'wali'-sahab sunte aae hain ki bas chand qadam hota hai