yun to is jalwa-gah-e-husn mein kya kya dekha jab tujhe dekh chuke koi na tujh sa dekha jab teri dhun mein kahin lala-e-sahra dekha hum ye samjhe ki tera naqsh-e-kaf-e-pa dekha tare tute to faza mein teri aahat gunji chand nikla to tera chehra-e-zeba dekha shahr-e-aghyar sahi itni khushi kya kam hai hum ne dekha tujhe aur anjuman-ara dekha hum ko thukra ke kuchh aise tere tewar badle jab sar-e-bazm bhi dekha tujhe tanha dekha hum to samjhe the qayamat hai firaq-e-mahbub tujh se mil kar bhi magar hashr hi barpa dekha subh jab dhup ke chashme se naha kar nikli hum ne aaina badal tera sarapa dekha bijliyan ab to tere abr-e-karam ki barsen umr-bhar apne sulagte ka tamasha dekha hum jo bhatke bhi to kis shan-e-wafa se bhatke hum ne har laghzish-e-pa mein tera ima dekha hum ba-in tira-nasibi na bane tira-nazar hum ne har raat ki chitwan mein sitara dekha teri qudrat ki siyasat na samajh mein aai haram-o-dair ko har daur mein yakja dekha aankh kholi to jahan kan-e-jawahar tha 'nadim' hath phailae to har chiz ko anqa dekha