yun to kya kya log chhupe the darwazon ke pichhe main hi bas udta rahta tha aawazon ke pichhe khun ka ek qatra warna phir maut ka nashsha hoga par aisi shai kab hoti hai parwazon ke pichhe wo to log bana dete hain pur-asrar faza ko aksar koi raaz nahin hota raazon ke pichhe mausiqar ke bas mein kab hai lai ko lau mein dhaale ek an-dekha hat bhi hota hai sazon ke pichhe phir to apne khun mein tair ke par utarna hoga talwaron ki fasl ho jab tir-andazon ke pichhe tamgha pension bewa bachche mayusi tanhai ek kahani rah jati hai jaan-bazon ke pichhe ab to har chaukhat par matha tek rahe ho 'saifi' aur agar diwaren niklen darwazon ke pichhe