yun to nahin ki pahle sahaare banae the

yun to nahin ki pahle sahaare banae the
dariya bana ke us ne kinare banae the

kuze banane wale ko ujlat ajib thi
pure nahin banae the sare banae the

ab ishrat-o-nashat ka saman hun to hun
hum ne to dip khauf ke mare banae the

di hai usi ne pyas bujhane ko aag bhi
pani se jis ne jism hamare banae the

phir yun hua ki us ki zaban kat di gai
wo jis ne guftugu ke ishaare banae the

sahra pe baadalon ka hunar khul nahin saka
qatre banae the ki sharare banae the

'shahid' khafa tha katib-e-taqdir is liye
hum ne zamin pe apne sitare banae the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close