yun to sada-e-zaKHm baDi dur tak gai

yun to sada-e-zakhm badi dur tak gai
ek chaaragar ke shahr mein ja kar bhatak gai

khushbu giraft-e-aks mein laya aur us ke baad
main dekhta raha teri taswir thak gai

gul ko barhana dekh ke jhonka nasim ka
jugnu bujha raha tha ki titli chamak gai

main ne padha tha chand ko injil ki tarah
aur chandni salib pe aa kar latak gai

roti rahi lipat ke har ek sang-e-mil se
majbur ho ke shahr ke andar sadak gai

qatil ko aaj sahib-e-ejaz man kar
diwar-e-adl apni jagah se sarak gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close