yunhi sote se kabhi jag ke uThne ka sabab

yunhi sote se kabhi jag ke uthne ka sabab
shab to hoga tumhein dil ke dhadakne ka sabab

dil key rahon se khalaon ke safar tak key ghutan
aur kuchh soch ke aaine ko takne ka sabab

is guzargah se hargiz wo guzarne ka nahin
phir usi mod pe tanha tere rukne ka sabab

alwidaa kahne jo aaya tha tera kya tha bata
us se mil kar ye tere phut ke rone ka sabab

koi chehra koi khushbu na kahin koi sarab
aisi tanhai se 'mansur' ulajhne ka sabab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close