yunhi uljhi rahne do kyun aafat sar par late ho dil ki uljhan badhti hai jab zulfon ko suljhate ho chhup chhup kar tum raat ko sahib ghairon ke ghar jate ho kaisi hai ye baat kaho to kyun-kar munh dikhlate ho sunte ho kab baat kisi ki apni hat par rahte ho hazrat-e-dil tum apne kiye par aakhir ko pachhtate ho muddat par to aae ho hum dekh len tum ko ji bhar ke aae ho to thahro sahib roz yahan kya aate ho kaisa aana kaisa jaana mere ghar kya aaoge ghairon ke ghar jaane se tum fursat kis din pate ho aankhen jhapki jati hain matwali ki si surat hai jage kis ki sohbat mein jo nind ke itne mate ho dil se 'asar' kya kahte ho hai jaan ka sauda ishq-e-butan tum bhi to diwane ho diwane ko samjhate ho