zaban-e-ghair se kya sharh-e-arzu karte wo khud agar kahin milta to guftugu karte wo zakhm jis ko kiya nok-e-aftab se chaak usi ko sozan-e-mahtab se rafu karte sawad-e-dil mein lahu ka suragh bhi na mila kise imam banate kahan wazu karte wo ek tilism tha qurbat mein us ke umr kati gale laga ke use us ki aarzu karte halaf uthae hain majburiyon ne jis ke liye use bhi log kisi roz qibla-ru karte junun ke sath bhi rasmen khirad ke sath bhi qaid kise rafiq banate kise adu karte hijab utha diye khud hi nigar-khanon ne hamein dimagh kahan tha ki aarzu karte